Sunday, September 6, 2020

Stree

 

Khamoshi bhi apni ek zubaan rakhti hain,

Anjaane mein hi sahi har stree apne kuch khwab rakhti hain.

Koi samajh na saka uski khamoshi ko us waqt,

Kyun ki har takleef mein wo apne chehre par Muskaan rakhti hain.

Dard hi samajhna hain to aankhe padhna sikho,

Or kuch na sahi use wo dedo jiski haqdaar hain wo,

Khushiyan na sahi apne dukh baatne ka adhikaar dedo.

Chahate to tumhari bhot hongi use sirf tumhara saath chahiye,

Jo raaste mein kabhi chhute na sirf esa hi humnava chahiye.

Kabhi kuch maang kar dekho usse haste hue na diya to kehna,

Agar shaq fir bhi ho to uski aankho ki nami zarur dekhna.

Khamoshi bhi apni ek zubaan rakhti hain,

Anjaane mein hi sahi har aurat apne kuch raaz rakhti hain.

Bharosa bhale hi mat karna par parakhna zarur,

Ye rishtee esehi hain janab inhe kasautiyo par kasna zarur.

Beshaq majburiya hongi tumhari batane ka haq zarur rakhna,

Galtiya to mujhse bhi hongi bas maafi ka haq zarur rakhna.

Kuch dil ke  rishte bhi hote hain jo tode nahi jaate,

Un humsafar raaste mein chhode nahi jaate,

Kabhi kahi giru to mujhe thamne aajana,

Acche humsafar hone ka farz zarur nibhana.

Khamoshi bhi apni ek zubaan rakhti hain,

Anjaane mein hi sahi har aurat apne kuch raaz rakhti hain.