Khamoshi bhi apni ek zubaan rakhti hain,
Anjaane mein hi sahi har stree apne kuch khwab
rakhti hain.
Koi samajh na saka uski khamoshi ko us waqt,
Kyun ki har takleef mein wo apne chehre par
Muskaan rakhti hain.
Dard hi samajhna hain to aankhe padhna
sikho,
Or kuch na sahi use wo dedo jiski haqdaar
hain wo,
Khushiyan na sahi apne dukh baatne ka
adhikaar dedo.
Chahate to tumhari bhot hongi use sirf tumhara
saath chahiye,
Jo raaste mein kabhi chhute na sirf esa hi
humnava chahiye.
Kabhi kuch maang kar dekho usse haste hue
na diya to kehna,
Agar shaq fir bhi ho to uski aankho ki nami
zarur dekhna.
Khamoshi bhi apni ek zubaan rakhti hain,
Anjaane mein hi sahi har aurat apne kuch
raaz rakhti hain.
Bharosa bhale hi mat karna par parakhna
zarur,
Ye rishtee esehi hain janab inhe kasautiyo
par kasna zarur.
Beshaq majburiya hongi tumhari batane ka
haq zarur rakhna,
Galtiya to mujhse bhi hongi bas maafi ka
haq zarur rakhna.
Kuch dil ke
rishte bhi hote hain jo tode nahi jaate,
Un humsafar raaste mein chhode nahi jaate,
Kabhi kahi giru to mujhe thamne aajana,
Acche humsafar hone ka farz zarur nibhana.
Khamoshi bhi apni ek zubaan rakhti hain,
Anjaane mein hi sahi har aurat apne kuch
raaz rakhti hain.
No comments:
Post a Comment