Sab kuch
chal zarur raha hain,
Par bohot
kuch ruka sa hain.
Khushiyon ke
jahan mein,
Khule aasmaan
mein,
Bohot kuch
hain par
Ghamo ke
saaye mein lipta sa hain.
Koshish
zarur jaari hain,
Par haath
bas nakamyabi hain.
Kal ki
chinta har roz satati hain,
Jaane kyu ek
dard sa de jaati hain.
Sab kuch
chal zarur raha hain,
Par bohot
kuch ruka sa hain.
No comments:
Post a Comment