Sunday, November 8, 2020

Pehla pyar

 

Likhne par majboor kardiya,

Najaane kya jaadu kardiya.

Kehta tha dost tha mera,

Par ek mulakat mein sab badal diya.

Socha na tha hum itne pagal hojayenge,

Unki baato mein itna beh jaayenge.

Yaadon mein khone ka shauk nahi tha mujhe,

Par wahi mera sahara bana diya usne.

Wo shayad jaadugar hi tha jo ye kar diya usne,

Ache bhale insaan ko badal diya usne.

Likhne par mujboor kardiya usne,

Najaane kya jaadu kardiya usne.

Hum bin wajah hi pagal hote gaye,

Uski baato ki chashni mein unhi ghulte gaye.

Wo paani sa bahata chala gaya,

Or hum  bahav mein behte chale gaye.

Kuch waqt baad samaj aaya ye to sirf ek arsa tha,

Jab hamara dil kisi ajnabi k liye tarsa tha.

Par jo bhi tha accha tha,

Apne yaadon ke aangan mein maine apne

Aane wale kal ko sanjoya tha,

Likhne par majboor krdiya usne.

Najaane kya jaadu krdiya usne,

Wo ab wo nahi jinke liye hum betaab the.

Ab to hum apne khwabo se aazad the,

Asliyat to jaan hi gaye the.

Kaafi asli chehre pehchan gaye the,

Kya khel khilwaya zindagi ne hume.

Ke ab hum waqt ki ehmiyat ko bakhubi jaan gaye the,

Waqt ke maare hue the hum.

Jo shayd khwab ko asliyat maan bethe the,

Likhne par majboor kardiya usne.

Najaane kya jaadu kardiya usne,

 

No comments:

Post a Comment