Sunday, November 8, 2020

Pehla pyar

 

Likhne par majboor kardiya,

Najaane kya jaadu kardiya.

Kehta tha dost tha mera,

Par ek mulakat mein sab badal diya.

Socha na tha hum itne pagal hojayenge,

Unki baato mein itna beh jaayenge.

Yaadon mein khone ka shauk nahi tha mujhe,

Par wahi mera sahara bana diya usne.

Wo shayad jaadugar hi tha jo ye kar diya usne,

Ache bhale insaan ko badal diya usne.

Likhne par mujboor kardiya usne,

Najaane kya jaadu kardiya usne.

Hum bin wajah hi pagal hote gaye,

Uski baato ki chashni mein unhi ghulte gaye.

Wo paani sa bahata chala gaya,

Or hum  bahav mein behte chale gaye.

Kuch waqt baad samaj aaya ye to sirf ek arsa tha,

Jab hamara dil kisi ajnabi k liye tarsa tha.

Par jo bhi tha accha tha,

Apne yaadon ke aangan mein maine apne

Aane wale kal ko sanjoya tha,

Likhne par majboor krdiya usne.

Najaane kya jaadu krdiya usne,

Wo ab wo nahi jinke liye hum betaab the.

Ab to hum apne khwabo se aazad the,

Asliyat to jaan hi gaye the.

Kaafi asli chehre pehchan gaye the,

Kya khel khilwaya zindagi ne hume.

Ke ab hum waqt ki ehmiyat ko bakhubi jaan gaye the,

Waqt ke maare hue the hum.

Jo shayd khwab ko asliyat maan bethe the,

Likhne par majboor kardiya usne.

Najaane kya jaadu kardiya usne,

 

Tuesday, November 3, 2020

sab kuch chal zarur raha hain...

 

Sab kuch chal zarur raha hain,

Par bohot kuch ruka sa hain.

Khushiyon ke jahan mein,

Khule aasmaan mein,

Bohot kuch hain par

Ghamo ke saaye mein lipta sa hain.

Koshish zarur jaari hain,

Par haath bas nakamyabi hain.

Kal ki chinta har roz satati hain,

Jaane kyu ek dard sa de jaati hain.

Sab kuch chal zarur raha hain,

Par bohot kuch ruka sa hain.

Sunday, September 6, 2020

Stree

 

Khamoshi bhi apni ek zubaan rakhti hain,

Anjaane mein hi sahi har stree apne kuch khwab rakhti hain.

Koi samajh na saka uski khamoshi ko us waqt,

Kyun ki har takleef mein wo apne chehre par Muskaan rakhti hain.

Dard hi samajhna hain to aankhe padhna sikho,

Or kuch na sahi use wo dedo jiski haqdaar hain wo,

Khushiyan na sahi apne dukh baatne ka adhikaar dedo.

Chahate to tumhari bhot hongi use sirf tumhara saath chahiye,

Jo raaste mein kabhi chhute na sirf esa hi humnava chahiye.

Kabhi kuch maang kar dekho usse haste hue na diya to kehna,

Agar shaq fir bhi ho to uski aankho ki nami zarur dekhna.

Khamoshi bhi apni ek zubaan rakhti hain,

Anjaane mein hi sahi har aurat apne kuch raaz rakhti hain.

Bharosa bhale hi mat karna par parakhna zarur,

Ye rishtee esehi hain janab inhe kasautiyo par kasna zarur.

Beshaq majburiya hongi tumhari batane ka haq zarur rakhna,

Galtiya to mujhse bhi hongi bas maafi ka haq zarur rakhna.

Kuch dil ke  rishte bhi hote hain jo tode nahi jaate,

Un humsafar raaste mein chhode nahi jaate,

Kabhi kahi giru to mujhe thamne aajana,

Acche humsafar hone ka farz zarur nibhana.

Khamoshi bhi apni ek zubaan rakhti hain,

Anjaane mein hi sahi har aurat apne kuch raaz rakhti hain.

 

 

Sunday, January 12, 2020

self love

Har chiz lajawaab hain is duniyaa mein,
Ab aap khud ko hi dekh lijiye.
Kisi or k liye nahi kabhi kabhi,
Khud ke liye muskurana hi sikh lijiye.
                                   Don't forget to smile
                                                   ☺️

Thursday, January 9, 2020

karam

Apne karam sabhi ko yaad rehte hain,
Un hi nahi ganga kinare itni bhid rehti 🙏

Thursday, November 21, 2019

maa

I don't care what people say about me my mom says I m the best ☺️🤗🤗